“!جان” (Know!)

تو اگر جان لیتا کہ خدا تیرے لئے کیا کچھ کرتا ہے
!تو سجدے میں ایسا گرتا کے مرنے کے بعد ہی اٹھایا جاتا

Kafan mai lipta hua tera chehra muskuraata; ke “Dekh! Dekh aye khuda! Mai Tere ehsaano ka kuch haq ada tou na karsaka lekin koshish mai saari zindagi bita di.”

Magar tu tou ghafil raha hai.

Hamesha se, aur hamesha ke liye. Khuda ne tujh ko ghaltiyon ka putla banaya, tujhe azmaane ke liye. Ye dekhne ke liye ke kab kab tu hazaaron cheekhti chillati awazon ke beech apni rooh ki awaz ko sun paaye ga. Un ehsaano ko yaad kar paaye ga, jo Wo tujh pe karta hai.

Wo chahta tou teri jahaalat dekh kar tujh ko is zameen mai mila deta, jo din raat Uske hukum se tere pairon ke neeche thehri bethi hai.

Wo chahta tou tera taghaful dekhta, aur aik awaz pe ye asmaan tujh par toot parta! Yehi asmaan, jisko tu raaton mai tanha beth ke ghanton takta hai. Yehi asmaan, jis ki muhabbat mai tu giriftaar hai; aur jiske Khaaliq se na-ashna.

Magar wo ye sab nahi karta… Kabhi tu ne iski waja jaani?

Aisa nahi ke tu Uske azaab ke qaabil nahi. Aisa nahi ke tu ne gunaah se khud ko paak rakha hai.

Aisa hargiz nahi ke tu Uski zaroorat hai. Uski tou koi zaroorat nahi, teri kia auqaat?

Tere ashraf-ul-makhlooqat hone ne tujhe intekhaab tou diya par shayad ab tera zameer bhi rota ho ke is intekhaab se acha tou bay-zubaan, bay-aqal hona tha- jis naymat ne tujh ko Allah se dour kiya tou us naymat ka wujood hi kyun kar hua?

Tou ab jaan le.

Jaan ke teri zaat ab tak kyun qayim hai. Jaan! Jaan ke tere hone ki waahid waja,
ALLAH ki mohabbat hai.

Jaan le, ke Wo tujhse pyaar na karta, tou teri auqaat bhi rait ke aik zarre se barh ke nahi.

Par Wo tujhse pyaar kyun karta hai?

Jab tere saare ganday khayalat o harkaat se waqif hai tou kese tujhe teri maa se bhi kayi gunah ziada chahta hai?

Kyun ke tere paas tauba hai. 

Ab di tou ye bhi Us hi zaat ne. Par saath mai is ko apnaane ka intekhaab bhi diya hai. Jo tu ne khud karna hai.

Aur is intekhaab ko karne ki hidayat bhi Wohi de ga, bas tu ne uski chah ko sambhaal kar rakhna hai.

Us chah ko sambhalnay ka khayal bhi Wohi dega. Phir akhir kia bach gaya tujh mai?

Tu maang.

Tere pas dua hai. Aur dua se tou Qadr badli jaati hai. Tou maang; ke Us ka khazaana kabhi kam nahi hota.

Par dua bhi akhir Wo hi sunay ga…

“Tou tum apne parwardigaar ki kon kon si naymat ko jhutlao ge?” – Surah Al-Rahmaan

Dil sajde mai mar jaane ko na chaahe, tou aur kia chaahe?

22 thoughts on ““!جان” (Know!)

  1. Maria you are amazing and as usual you left me speechless. There is no doubt in this indeed Allah loves us more than anyone even though we commit sins each and every day in our life.

    Liked by 1 person

  2. Maria this is seriously amazing. it is a masterpiece of your philosophy, a well thought,well versed extremely convincing and a definite heart touching idea ……………………….. you nailed it gal :* keep it up!!

    Liked by 1 person

    1. JazakAllah khair! It was from Allah! 🙂 Alhamdulillah. I don’t deserve any thanks at all. But I would like to thank you for reading and making me happy with all that you’ve written. :’) much love and I miss you! ❤

      Like

Leave a comment